Shayari
jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
vo mai-kade mein halaavat hai rind-e-mai-kash ko
jo khaanqaah mein hai paarsaa ko aish-o-tarab
وہ مے کدے میں حلاوت ہے رند میکش کو
جو خانقاہ میں ہے پارسا کو عیش و طرب
vo mai-kade meñ halāvat hai riñd-e-mai-kash ko
jo ḳhānqāh meñ hai pārsā ko aish-o-tarab

jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
ghash khaa ke giraa pahle hi shoale ki jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur ki sujhi
mai bhi hai miinaa bhi hai saaghar bhi hai saaqi nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag mai-khaane ko ham
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
mazmun-e-sard-mehri-e-jaanaan raqam karun
gar haath aae kaaghaz-e-kashmir kaa varaq
vo aap se ruThaa nahin manne kaa 'nazir' aah
kyaa dekhe hai chal paanv paD aur us ko manaa laa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
masjid ho madrasa ho ki majlis ki mai-kada
mahfuz shar se kuchh hai to ghar hai chale-chalo
ye alag baat hai saaqi ki mujhe hosh nahin
hosh itnaa hai ki main tujh se faraamosh nahin
hain chaaron taraf kheme khaDe gard-baad ke
kyaa jaaniye junun ne iraada kidhar kiyaa
lagaain taak ke us mast ne jo talvaarein
dahaan-e-zakhm-e-badan se bhi aae bu-e-sharaab