Shayari
jis darja nek hone ki milti rahi hai daad
us darja nek banne kaa armaan kabhi na thaa
aae to dil thaa baagh baagh aur gae to daagh daagh
kitni khushi vo laae the kitnaa malaal de gae
آئے تو دل تھا باغ باغ اور گئے تو داغ داغ
کتنی خوشی وہ لائے تھے کتنا ملال دے گئے
आए तो दिल था बाग़ बाग़ और गए तो दाग़ दाग़
कितनी ख़ुशी वो लाए थे कितना मलाल दे गए

jis darja nek hone ki milti rahi hai daad
us darja nek banne kaa armaan kabhi na thaa
raat se shikaayat kyaa bas tumhin se kahnaa hai
tum zaraa Thahar jaao raat kab Thaharti hai
abhi se vo daaman chhuDaane lage ho
jo ab tak mire haath aayaa nahin hai
aur hi vo log hain jin ko hai yazdaan ki talaash
mujh ko insaanon ki duniyaa mein hai insaan ki talaash
kisi ki mehrbaani se mohabbat mutmain kyaa ho
mohabbat to mohabbat se bhi aasuda nahin hoti
ham se shikaayatein bajaa ham ko bhi hai magar gila
pahle se ham nahin agar pahle se aap bhi nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
bazm-e-falak mein kaun hai us ki raa'naai kaa mahram-e-raaz
kis ko apne daaman-e-dil ke daagh dikhaaegaa mahtaab
dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar paae
likhne pe jab aae the to kyaa kyaa nahin likkhaa
chashm-e-dilbar ne dil-e-zaar ki dildaari ki
aah bimaar ne bimaar ki gham-khvaari ki
gunjaaish-e-do-shaah nahin ek mulk mein
vahdaaniyat ke haq ki yahi bas dalil hai