Shayari
ik sazaa aur asiron ko sunaa di jaae
yaani ab jurm-e-asiri ki sazaa di jaae
us ki khvaahish hai ki ab log na roein na hansein
be-hisi vaqt ki aavaaz banaa di jaae
اس کی خواہش ہے کہ اب لوگ نہ روئیں نہ ہنسیں
بے حسی وقت کی آواز بنا دی جائے
उस की ख़्वाहिश है कि अब लोग न रोएँ न हँसें
बे-हिसी वक़्त की आवाज़ बना दी जाए

ik sazaa aur asiron ko sunaa di jaae
yaani ab jurm-e-asiri ki sazaa di jaae
shahr talab kare agar tum se ilaaj-e-tiragi
saahab-e-ikhtiyaar ho aag lagaa diyaa karo
tumhein jafaa se na yuun baaz aanaa chaahiye thaa
abhi kuchh aur miraa dil dukhaanaa chaahiye thaa
gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
dard mein Dhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa
phir mujhe de diyaa gayaa ek diyaa bujhaa huaa
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
khvaahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni
khinchti hai manzaron mein naqsha-e-aasaab saa
shaam ki chaae un ke saath piyun
dil ki hasrat bahut puraani hai
kis se ab aarzu-e-vasl karein
is kharaabe mein koi mard kahaan
is shahr-e-tamannaa mein kyaa chhaanv mile mujh ko
hai dhuup ke daaman mein taptaa huaa ghar meraa
aayaa hai ik raah-numaa ke istiqbaal ko ik bachcha
peT hai khaali aankh mein hasrat haathon mein gul-dasta hai