Shayari
main bhuul jaaun tujhe yaa main intizaar karun
tu apne jaane se pahle mujhe bataa kar jaa
dekh kar sitaaron ko mujh ko to ye lagtaa hai
duur aasmaanon mein cigarettein sulagti hain
دیکھ کر ستاروں کو مجھ کو تو یہ لگتا ہے
دور آسمانوں میں سگریٹیں سلگتی ہیں
देख कर सितारों को मुझ को तो ये लगता है
दूर आसमानों में सिगरेटें सुलगती हैं

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai