Shayari
aaegi har taraf se havaa dastakein liye
unchaa makaan banaa ke bahut khiDkiyaan na rakh
ji chaahtaa hai haath lagaa kar bhi dekh lein
us kaa badan qabaa hai ki us ki qabaa badan
جی چاہتا ہے ہاتھ لگا کر بھی دیکھ لیں
اس کا بدن قبا ہے کہ اس کی قبا بدن
जी चाहता है हाथ लगा कर भी देख लें
उस का बदन क़बा है कि उस की क़बा बदन

aaegi har taraf se havaa dastakein liye
unchaa makaan banaa ke bahut khiDkiyaan na rakh
rakh di hai us ne khol ke khud jism ki kitaab
saada varaq pe le koi manzar utaar de
usi ke zikr se ham shahr mein hue badnaam
vo ek shakhs ki jis se hamaari bol na chaal
lafz chhin jaaein magar tahrir ho raushan jahaan
honT hon khaamosh lekin guftugu baaqi rahe
ek angDaai se saare shahr ko niind aa gai
ye tamaashaa main ne dekhaa baam par hotaa huaa
bahut lambi masaafat hai badan ki
musaafir mubtadi thakne lagaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
dil is tarah havaa-e-mohabbat mein jal gayaa
bhaDki kahin na aag na uTThaa dhuaan kahin
mire siine se lag kar der tak roti hai tanhaai
kisi ne kah diyaa us se mohabbat ho gai mujh ko