Shayari
tire baghair tere intizaar se thak kar
shab-e-firaaq ke maaron ko niind aai hai
Q
Qaisar Nizamiab to rusvaaiyaan yaqini hain
un ke lab par miraa fasaana hai
اب تو رسوائیاں یقینی ہیں
ان کے لب پر مرا فسانہ ہے
अब तो रुस्वाइयाँ यक़ीनी हैं
उन के लब पर मिरा फ़साना है
tire baghair tere intizaar se thak kar
shab-e-firaaq ke maaron ko niind aai hai
khizaan ki zad mein hi ab tak tiraa gulistaan thaa
hamin ne aa ke bahaaron ko zindagi bakhshi
tamaam umr rahe meraa muntazir tu bhi
tamaam umr mire intizaar ko tarse
tu saraapaa nuur hai main teraa aks-e-khaas huun
kah rahe hain yuun tiraa sab aaina-khaana mujhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
uThaa hi laayaa sabhi raaste vo kaandhon par
yaqin us pe na kartaa to main kidhar jaataa
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
jurm-e-ummid ki sazaa hi de
mere haq mein bhi kuchh sunaa hi de
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
adam bahut hi agar ruThne lagi ummid
kisi ke vaade pe phir e'tibaar kar lungaa