Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
chaae mein mat milaaiye shakar ki hai zarar-risaan
shaamil miThaas vaaste apnaa luaab kijiye
چائے میں مت ملائیے شکر کہ ہے ضرر رساں
شامل مٹھاس واسطے اپنا لعاب کیجیے
चाय में मत मिलाइए शकर कि है ज़रर-रिसाँ
शामिल मिठास वास्ते अपना लुआब कीजिए

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
na mohtasib ki khushaamad na mai-kade kaa tavaaf
khudi mein mast huun apni bahaar mein gum huun
har ashk-e-surkh hai daamaan-e-shab mein aag kaa phuul
baghair shama ke bhi jal rahe hain parvaane