Shayari
ab ki mumkin hai zamin khuun ki pyaasi na rahe
ik qabile ne meri baat nahin maani hai
mujhe bachaa le mire yaar soz-e-imshab se
ki ik sitaara-e-vahshat jabin se guzregaa
مجھے بچا لے مرے یار سوز امشب سے
کہ اک ستارۂ وحشت جبیں سے گزرے گا
मुझे बचा ले मिरे यार सोज़-ए-इमशब से
कि इक सितारा-ए-वहशत जबीं से गुज़रेगा

ab ki mumkin hai zamin khuun ki pyaasi na rahe
ik qabile ne meri baat nahin maani hai
tishna-lab aisaa ki honTon pe paDe hain chhaale
mutmain aisaa huun dariyaa ko bhi hairaani hai
shiddat-e-gham se koi gham bhi nahin ho paayaa
jaane vaale tiraa maatam bhi nahin ho paayaa
akelaa-pan hai aur aisaa akelaa-pan jis mein
koi jo puchh le kuchh sab bataane lagte hain
anaa ne donon ke biich nafrat ki ek divaar khinch di hai
udhar se aane kaa masala hai idhar se jaane kaa masala hai
hamaari raat kaa ik vaqt tai hai jis mein ham
tamaam bichhDe huon ko bulaane lagte hain
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh