Shayari
sunaa hai ghair ki mahfil mein tum na jaaoge
kaho to aaj sajaa luun gharib-khaane ko
roeinge dekh kar sab bistar ki har shikan ko
vo haal likh chalaa huun karvaT badal badal kar
روئیں گے دیکھ کر سب بستر کی ہر شکن کو
وہ حال لکھ چلا ہوں کروٹ بدل بدل کر
रोएँगे देख कर सब बिस्तर की हर शिकन को
वो हाल लिख चला हूँ करवट बदल बदल कर

sunaa hai ghair ki mahfil mein tum na jaaoge
kaho to aaj sajaa luun gharib-khaane ko
har vaqt mahviyat hai yahi sochtaa huun main
kyuun barq ne jalaayaa miraa aashiyaan na puchh
nasheman khaak hone se vo sadma dil ko pahunchaa hai
ki ab ham se koi bhi raushni dekhi nahin jaati
zaraa ruuTh jaane pe itni khushaamad
'qamar' tum bigaaDoge aadat kisi ki
'qamar' afshaan chuni hai rukh pe us ne is saliqe se
sitaare aasmaan se dekhne ko aae jaate hain
zabt kartaa huun to ghuTtaa hai qafas mein miraa dam
aah kartaa huun to sayyaad khafaa hotaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
duniyaa se kaho jo use karnaa hai vo kar le
ab dil mein mire vo alal-elaan rahegaa
ye shahr vo hai ki koi khushi to kyaa detaa
kisi ne dil bhi dukhaayaa nahin bahut din se
aage thaa dil hi miraa ab hai khudaa aap kaa naam
zauq se samajhiye aap is ko nagina apnaa