Shayari
aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
apne ko talaash kar rahaa huun
apni hi talab se Dar rahaa huun
اپنے کو تلاش کر رہا ہوں
اپنی ہی طلب سے ڈر رہا ہوں
अपने को तलाश कर रहा हूँ
अपनी ही तलब से डर रहा हूँ

aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
sirf taarikh ki raftaar badal jaaegi
nai taarikh ke vaaris yahi insaan honge
ham apne haal-e-pareshaan pe baarhaa roe
aur us ke baa'd hansi ham ko baarhaa aai
khaamosh zindagi jo basar kar rahe hain ham
gahre samundaron mein safar kar rahe hain ham
ham apni zindagi to basar kar chuke 'rais'
ye kis ki ziist hai jo basar kar rahe hain ham
sadiyon tak ehtimaam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizaar-e-sahar kar rahe hain ham
kabhi khauf thaa tire hijr kaa kabhi aarzu ke zavaal kaa
rahaa hijr-o-vasl ke darmiyaan tujhe kho sakaa na main paa sakaa
nahin milti unhein manzil jinhein khauf-e-havaadis hai
jo maujon se nahin Darte nadi ko paar karte hain
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
phir is mazaaq ko jamhuriyat kaa naam diyaa
hamein Daraane lage vo hamaari taaqat se
ek muddat se miri maan nahin soi 'taabish'
main ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai