Shayari
kiyaa ijaad jis ne bhi khudaa ko
vo khud ko kaise bahlaataa thaa pahle
kuchh is tarah guzaaraa hai zindagi ko ham ne
jaise ki khud pe koi ehsaan kar liyaa hai
کچھ اس طرح گزارا ہے زندگی کو ہم نے
جیسے کہ خود پہ کوئی احسان کر لیا ہے
कुछ इस तरह गुज़ारा है ज़िंदगी को हम ने
जैसे कि ख़ुद पे कोई एहसान कर लिया है

kiyaa ijaad jis ne bhi khudaa ko
vo khud ko kaise bahlaataa thaa pahle
saath 'ghaalib' ke gai fikr ki gahraai bhi
aur lahja bhi gayaa 'mir-taqi-mir' ke saath
sab log is se pahle ki devtaa samajhte
ham ne zaraa saa khud ko insaan kar liyaa hai
kyaa jaane kis jahaan mein milegaa hamein sukun
naaraaz hain zamin se khafaa aasmaan se ham
justuju kaa ik ajab silsila taa-umr rahaa
khud ko khonaa thaa kahin aur kahin DhunDhnaa thaa
kaun paDhtaa hai yahaan khol ke ab dil ki kitaab
ab to chehre ko hi akhbaar kiyaa jaanaa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
miri hatheli pe honTon se aisi mohr lagaa
ki umr bhar ke liye main bhi surkh-ru ho jaaun
aavaaz de ke dekh lo shaayad vo mil hi jaae
varna ye umr bhar kaa safar raaegaan to hai
zindagi mein jo ik kami si hai
ye zaraa si kami bahut hai miyaan