Shayari
yaad tiri jaise ki sar-e-shaam
dhund utar jaae paani mein
bain karti hui samton se na Darnaa 'baani'
aisi aavaazein to is raah mein aam aaeingi
بین کرتی ہوئی سمتوں سے نہ ڈرنا بانیؔ
ایسی آوازیں تو اس راہ میں عام آئیں گی
बैन करती हुई सम्तों से न डरना 'बानी'
ऐसी आवाज़ें तो इस राह में आम आएँगी

yaad tiri jaise ki sar-e-shaam
dhund utar jaae paani mein
thi paanv mein koi zanjir bach gae varna
ram-e-havaa kaa tamaashaa yahaan rahaa hai bahut
koi bhuli hui shai taaq-e-har-manzar pe rakkhi thi
sitaare chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi
shaamil huun qaafile mein magar sar mein dhund hai
shaayad hai koi raah judaa bhi mire liye
paiham mauj-e-imkaani mein
aglaa paanv nae paani mein
mohabbatein na rahin us ke dil mein mere liye
magar vo miltaa thaa hans kar ki vaza-daar jo thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yaqinan rahbar-e-manzil kahin par raastaa bhulaa
vagarna qaafile ke qaafile gum ho nahin sakte