Shayari
jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniyaa dekhtaa huun
shaam hi se baras rahi hai raat
rang apne sambhaal kar rakhnaa
شام ہی سے برس رہی ہے رات
رنگ اپنے سنبھال کر رکھنا
शाम ही से बरस रही है रात
रंग अपने सँभाल कर रखना

jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniyaa dekhtaa huun
miTTi jab tak nam rahti hai
khushbu taaza-dam rahti hai
aur kuchh yuun huaa ki bachchon ne
chhinaa-jhapTi mein toD Daalaa mujhe
huiin aankhein ajab behaal ab ke
ye baarish kar gai kangaal ab ke
dil dhaDaktaa hai sar-e-raah-e-khayaal
ab ye aavaaz jahaan tak pahunche
hai koi yahaan shahr mein aisaa ki jise main
apnaa na kahun aur vo apnaa mujhe samjhe
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
raat ko raat kah diyaa main ne
sunte hi baukhlaa gai duniyaa
ab khul ke kaho baat to kuchh baat banegi
ye daur-e-ishaaraat-o-kinaayaat nahin hai