Shayari
dushman se aise kaun bhalaa jiit paaegaa
jo dosti ke bhes mein chhup kar daghaa kare
ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh luun
aql se kah do ki mujh ko aaj tanhaa chhoD de
ایک دن تو دل کو بھی ترجیح دے کر دیکھ لوں
عقل سے کہہ دو کہ مجھ کو آج تنہا چھوڑ دے
एक दिन तो दिल को भी तरजीह दे कर देख लूँ
अक़्ल से कह दो कि मुझ को आज तन्हा छोड़ दे

dushman se aise kaun bhalaa jiit paaegaa
jo dosti ke bhes mein chhup kar daghaa kare
na to ranj-o-gham se hi rabt hai na hi aashnaa-e-khushi huun main
miri zindagi bhi ajiib hai ise manzilon kaa pataa nahin
mulk ki galiyaan lahu piine ki aadi ho na jaaein
ye taassub zahr kaa zehnon mein bharnaa chhoD de
galiyon galiyon shahron shahron kis ne aag lagaai hai
bughz-o-nafrat kaa duniyaa ko kis ne ye maahaul diyaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
bujhne de sab diye mujhe tanhaai chaahiye
kuchh der ke liye mujhe tanhaai chaahiye
ai dil-e-naadaan kisi kaa ruThnaa mat yaad kar
aan Tapkegaa koi aansu bhi is jhagDe ke biich
'anvar' khudaa kare ki ye sachchi na ho khabar
ikkisvin sadi mein vaDere bhi jaaeinge