Shayari
is dil mein chubhaa rahtaa thaa kaanTe ki tarah vo
ik roz use main ne mohabbat se nikaalaa
main ghaTtaa jaa rahaa huun apne andar
tumhein itnaa ziyaada kar liyaa hai
میں گھٹتا جا رہا ہوں اپنے اندر
تمہیں اتنا زیادہ کر لیا ہے
मैं घटता जा रहा हूँ अपने अंदर
तुम्हें इतना ज़ियादा कर लिया है

is dil mein chubhaa rahtaa thaa kaanTe ki tarah vo
ik roz use main ne mohabbat se nikaalaa
kitne bekaar khudaaon ki ibaadat ki hai
aakhiri baar kisi but se shikaayat ki hai
aa rahaa hogaa vo daaman se havaa baandhe hue
aaj khushbu ko pareshaan kiyaa jaaegaa
charaagh-e-ishq badan se lagaa thaa kuchh aisaa
main bujh ke rah gayaa us ko havaa banaane mein
juz hamaare kaun aakhir dekhtaa is kaam ko
ruuh ke andar koi kaar-e-badan hotaa huaa
sunaa hai chaand ko uljhaa liyaa hai shaakhon ne
so ab charaagh darichon pe rakh diye jaaein
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas