Shayari
sharif log kahaan jaaein kyaa karein aakhir
zamin chikhti phirti hai aasmaan chup-chaap
raat hi ke daaman mein chaand bhi hain taare bhi
raat hi ki qismat hai be-charaagh honaa bhi
رات ہی کے دامن میں چاند بھی ہیں تارے بھی
رات ہی کی قسمت ہے بے چراغ ہونا بھی
रात ही के दामन में चाँद भी हैं तारे भी
रात ही की क़िस्मत है बे-चराग़ होना भी

shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
pahle nahaai os mein phir aansuon mein raat
yuun buund buund utri hamaare gharon mein raat
das baje raat ko so jaate hain khabrein sun kar
aankh khulti hai to akhbaar talab karte hain
raat din yaar baghal mein ho to ghar behtar hai
varna is ghar ke to rahne se safar behtar hai