Shayari
dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
raat ko din se milaane ki havas thi ham ko
kaam achchhaa na thaa anjaam bhi achchhaa na huaa
رات کو دن سے ملانے کی ہوس تھی ہم کو
کام اچھا نہ تھا انجام بھی اچھا نہ ہوا
रात को दिन से मिलाने की हवस थी हम को
काम अच्छा न था अंजाम भी अच्छा न हुआ

dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahin koi
kyuun vaqt ek moD pe Thahraa huaa saa hai
zabaan mili bhi to kis vaqt be-zabaanon ko
sunaane ke liye jab koi daastaan na rahi
safar kaa nashsha chaDhaa hai to kyuun utar jaae
maza to jab hai koi lauT ke na ghar jaae
har taraf apne ko bikhraa paaoge
aainon ko toD ke pachhtaaoge
bataaun kis tarah ahbaab ko aankhein jo aisi hain
ki kal palkon se TuuTi niind ki kirchein sameTin hain
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
ye shahr hai anjaan kahaan raat guzaarun
hai jaan-na-pahchaan kahaan raat guzaarun
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai