Shayari
dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
shikva koi dariyaa ki ravaani se nahin hai
rishta hi miri pyaas kaa paani se nahin hai
شکوہ کوئی دریا کی روانی سے نہیں ہے
رشتہ ہی مری پیاس کا پانی سے نہیں ہے
शिकवा कोई दरिया की रवानी से नहीं है
रिश्ता ही मिरी प्यास का पानी से नहीं है

dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahin koi
kyuun vaqt ek moD pe Thahraa huaa saa hai
zabaan mili bhi to kis vaqt be-zabaanon ko
sunaane ke liye jab koi daastaan na rahi
safar kaa nashsha chaDhaa hai to kyuun utar jaae
maza to jab hai koi lauT ke na ghar jaae
har taraf apne ko bikhraa paaoge
aainon ko toD ke pachhtaaoge
bataaun kis tarah ahbaab ko aankhein jo aisi hain
ki kal palkon se TuuTi niind ki kirchein sameTin hain
miri is chashm-e-tar se abr-e-baaraan ko hai kyaa nisbat
ki vo dariyaa kaa paani aur ye khun-e-dil hai barsaati
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
sab ummidein mire aashob-e-tamannaa tak thiin
bastiyaan ho gaiin gharqaab to dariyaa utraa
paar dariyaa-e-mohabbat se utarnaa hai muhaal
tum lagaaoge kinaare to kinaare honge
khaama-e-qudrat ne dil kaa naam ye kah kar likhaa
har jagah is lafz ke maani badalte jaaeinge
us ke lahraane mein chaal aai na mutlaq saanp ki
mauj-e-dariyaa karti hai taqlid naahaq saanp ki