Shayari
pal bhar mein kaise log badal jaate hain yahaan
dekho ki ye mufid hai binaai ke liye
siyaah raat nahin leti naam Dhalne kaa
yahi to vaqt hai suraj tire nikalne kaa
سیاہ رات نہیں لیتی نام ڈھلنے کا
یہی تو وقت ہے سورج ترے نکلنے کا
सियाह रात नहीं लेती नाम ढलने का
यही तो वक़्त है सूरज तिरे निकलने का

pal bhar mein kaise log badal jaate hain yahaan
dekho ki ye mufid hai binaai ke liye
vaqt ko kyuun bhalaa buraa kahiye
tujh ko honaa hi thaa judaa ham se
dil pareshaan ho magar aankh mein hairaani na ho
khvaab dekho ki haqiqat se pashimaani na ho
khajil charaaghon se ahl-e-vafaa ko honaa hai
ki sarfaraaz yahaan phir havaa ko honaa hai
yaa main sochun kuchh bhi na us ke baare mein
yaa aisaa ho duniyaa aur badal jaae
ye kyaa hai mohabbat mein to aisaa nahin hotaa
main tujh se judaa ho ke bhi tanhaa nahin hotaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
vo apne husn ki khairaat dene vaale hain
tamaam jism ko kaasa banaa ke chalnaa hai
kuchh tu hi bataa aakhir kyun-kar tire bandon par
har shab hai nai aafat har roz musibat hai
us se hi to chalte hain kaarobaar gulshan ke
vo hi raat-raani hai vo hi gul-hazaara hai