Shayari
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
naqsh-e-hairat ban gai duniyaa sitaaron ki tarah
sab ki sab aankhein khuli hain jaagtaa koi nahin
نقش حیرت بن گئی دنیا ستاروں کی طرح
سب کی سب آنکھیں کھلی ہیں جاگتا کوئی نہیں
नक़्श-ए-हैरत बन गई दुनिया सितारों की तरह
सब की सब आँखें खुली हैं जागता कोई नहीं

shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
khule asraar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baatein na karne kaa hunar aayaa
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
hijr mein ik maah ke aansu hamaare gir paDe
aasmaan TuuTaa shab-e-furqat sitaare gir paDe
zarra samajh ke yuun na milaa mujh ko khaak mein
ai aasmaan main bhi kabhi aaftaab thaa
agar vo chaand ki basti kaa rahne vaalaa thaa
to apne saath sitaaron kaa qaafila rakhtaa
muddat se rahi farsh tiri raahguzar mein
tab jaa ke sitaaron se kahin aankh laDi hai
thaam rakkhi hai ham ne chaal apni
aaj-kal hain sitaare gardish mein