Shayari
duur main us ki mast aankhon ke
mohtasib bhi sharaab-khvaar huaa
S
Shaikh Ghulam Ali Rasikhkis se tum ham-kanaar the saahib
raat ham be-qaraar the saahib
کس سے تم ہمکنار تھے صاحب
رات ہم بے قرار تھے صاحب
किस से तुम हम-कनार थे साहिब
रात हम बे-क़रार थे साहिब
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
niind kyuun TuuT gai aakhir-e-shab
kaun mere liye taDpaa hogaa
rang hi se fareb khaate rahein
khushbuein aazmaanaa bhuul gae