Shayari
bujhaa hai dil to na samjho ki bujh gayaa gham bhi
ki ab charaagh ke badle charaagh ki lau hai
yaad-e-maazi gham-e-imroz umid-e-fardaa
kitne saae mire hamraah chalaa karte hain
یاد ماضی غم امروز امید فردا
کتنے سائے مرے ہم راہ چلا کرتے ہیں
याद-ए-माज़ी ग़म-ए-इमरोज़ उमीद-ए-फ़र्दा
कितने साए मिरे हमराह चला करते हैं

bujhaa hai dil to na samjho ki bujh gayaa gham bhi
ki ab charaagh ke badle charaagh ki lau hai
chup huun tumhaaraa dard-e-mohabbat liye hue
sab puchhte hain tum ne zamaane se kyaa liyaa
lijiye bulaa liyaa aap ko khayaal mein
ab to dekhiye hamein koi dekhtaa nahin
piine ko is jahaan mein kaun si mai nahin magar
ishq jo baanTtaa hai vo aab-e-hayaat aur hai
vo dil bhi jalaate hain rakh dete hain marham bhi
kyaa turfa tabiat hai shola bhi hain shabnam bhi
be-khabar phuul ko bhi khinch ke patthar pe na maar
ki dil-e-sang mein khvaabida sanam hotaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai