Shayari
chaae ke talkh ghunT se uThtaa huaa ghubaar
vo intizaar-e-shaam vo manzar kahaan gayaa
mujh ko to khair khaana-badoshi hi raas thi
tere liye makaan banaanaa paDaa mujhe
مجھ کو تو خیر خانہ بدوشی ہی راس تھی
تیرے لیے مکان بنانا پڑا مجھے
मुझ को तो ख़ैर ख़ाना-बदोशी ही रास थी
तेरे लिए मकान बनाना पड़ा मुझे

apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain
yuun to qadam qadam pe hai divaar saamne
koi na ho to khud se ulajh jaanaa chaahiye