Shayari
tire ehsaas mein Duubaa huaa main
kabhi sahraa kabhi dariyaa huaa main
us ke dil ki aag ThanDi paD gai
mujh ko shohrat mil gai ilzaam se
اس کے دل کی آگ ٹھنڈی پڑ گئی
مجھ کو شہرت مل گئی الزام سے
उस के दिल की आग ठंडी पड़ गई
मुझ को शोहरत मिल गई इल्ज़ाम से

tire ehsaas mein Duubaa huaa main
kabhi sahraa kabhi dariyaa huaa main
shaayad agli ik koshish taqdir badal de
zahar to jab ji chaahe khaayaa jaa saktaa hai
dasht jaisi ujaaD hain aankhein
in darichon se khvaab kyaa jhaankein
kai din baa'd us ne guftugu ki
kai din baa'd phir achchhaa huaa main
vo ek shakhs jo dikhne mein Thik-Thaak saa thaa
bichhaD rahaa thaa to lagne lagaa hasin bahut
hamein ranjish nahin dariyaa se koi
salaamat gar rahe sahraa hamaaraa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kar na jurat tu ai tabib ki ye
dil kaa dhaDkaa hai ikhtilaaj nahin
qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun
khayaal dil mein jo aayaa gunaah jaisaa thaa
ik shakl hamein phir bhaai hai ik surat dil mein samaai hai
ham aaj bahut sarshaar sahi par aglaa moD judaai hai
phir aaj ek ghazal keh ke main mo'attar huun
phir aaj zakhm kiye apne sandali main ne