Shayari
main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
hamein ranjish nahin dariyaa se koi
salaamat gar rahe sahraa hamaaraa
ہمیں رنجش نہیں دریا سے کوئی
سلامت گر رہے صحرا ہمارا
हमें रंजिश नहीं दरिया से कोई
सलामत गर रहे सहरा हमारा

main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
zamin mere sajde se tharraa gai
mujhe aasmaan se pukaaraa gayaa
bichhaD jaaeinge ham donon zamin par
ye us ne aasmaan par likh diyaa hai
vasl mein suukh gai hai miri sochon ki zamin
hijr aae to miri soch ko shaadaab kare
likkhaa hai taarikh ke safhe safhe par ye
shaahon ko bhi daas banaayaa jaa saktaa hai
aaj meri ik ghazal ne us ke honTon ko chhuaa
aaj pahli baar apni shaairi achchhi lagi
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe