Shayari
aansu miri aankhon se nikal jaate hain aksar
vo daur-e-mohabbat kabhi bhulaa to nahin huun
tu jab nahin thaa saamne tere khayaal se
ai chaudhvin ke chaand bahalnaa paDaa mujhe
تو جب نہیں تھا سامنے تیرے خیال سے
اے چودھویں کے چاند بہلنا پڑا مجھے
तू जब नहीं था सामने तेरे ख़याल से
ऐ चौदहवीं के चाँद बहलना पड़ा मुझे

aansu miri aankhon se nikal jaate hain aksar
vo daur-e-mohabbat kabhi bhulaa to nahin huun
fikr-e-jahaan nahin hai umid-e-vafaa nahin
jiine kaa koi bhi to bahaana nahin rahaa
ghar ke sannaaTe tire halqa-e-aaghosh mein huun
mehrbaan tu ne mujhe dasht mein jaane na diyaa
marhun-e-iltifaat-e-faraavaani-e-sitam
aashufta-haal dasht mein laayaa gayaa mujhe
sab pe kaifiyyat 'ayaan hoti nahin hai 'ishq ki
mubtalaa-e-'ishq par khultaa hai ye raaz-e-nihaan
darakhshaan chaand se rukh ne miri viraan aankhon mein
bahut se bhar diye jugnu chamak in mein ubhar aai
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
mujh se kyaa baat likhaani hai ki ab mere liye
kabhi sone kabhi chaandi ke qalam aate hain
kai chaand the sar-e-aasmaan ki chamak chamak ke palaT gae
na lahu mire hi jigar mein thaa na tumhaari zulf siyaah thi
ik raat chaandni mire bistar pe aai thi
main ne taraash kar tiraa chehra banaa diyaa
kis tarah khush hon shaam ko vo chaand dekh kar
aataa nahin hai mashal-e-mah kaa dhuaan pasand
mahlon mein ham ne kitne sitaare sajaa diye
lekin zamin se chaand bahut duur ho gayaa