Shayari
tu jab nahin thaa saamne tere khayaal se
ai chaudhvin ke chaand bahalnaa paDaa mujhe

Syed Kamran Zubair Kami
Syed Kamran Zubair Kami
tu jab nahin thaa saamne tere khayaal se
ai chaudhvin ke chaand bahalnaa paDaa mujhe
fikr-e-jahaan nahin hai umid-e-vafaa nahin
jiine kaa koi bhi to bahaana nahin rahaa
ghar ke sannaaTe tire halqa-e-aaghosh mein huun
mehrbaan tu ne mujhe dasht mein jaane na diyaa
marhun-e-iltifaat-e-faraavaani-e-sitam
aashufta-haal dasht mein laayaa gayaa mujhe
sab pe kaifiyyat 'ayaan hoti nahin hai 'ishq ki
mubtalaa-e-'ishq par khultaa hai ye raaz-e-nihaan
vo aksar dekhte hain baa-dil-e-naa-khvaasta mujh ko
nasib-e-dushmanaan yaaro yahaan tak baat aa pahunchi
aansu miri aankhon se nikal jaate hain aksar
vo daur-e-mohabbat kabhi bhulaa to nahin huun
darakhshaan chaand se rukh ne miri viraan aankhon mein
bahut se bhar diye jugnu chamak in mein ubhar aai
dil chaTakh jaataa hai meraa dekhtaa huun khud ko jab
barsar-e-paikaar shishe mein khaDe ik shakhs se
sard mausam jo guzaaraa thaa dil-e-viraan ne
buDhe bargad ne vo mausam na guzaaraa hogaa
meri nisbat se kare tujh ko na rusvaa duniyaa
khauf paltaa rahaa kal tujh se mulaaqaat ke baa'd
kahaan tak saath degi tu hamaaraa dasht-e-ghurbat mein
tujhe is qaid se ai zindagi aazaad karte hain