Shayari
'shakil' hijr ke zinon pe ruk gaiin yaadein
isi maqaam par aa kar Thahar gai shab bhi
rishta rahaa ajiib miraa zindagi ke saath
chaltaa ho jaise koi kisi ajnabi ke saath
رشتہ رہا عجیب مرا زندگی کے ساتھ
چلتا ہو جیسے کوئی کسی اجنبی کے ساتھ
रिश्ता रहा अजीब मिरा ज़िंदगी के साथ
चलता हो जैसे कोई किसी अजनबी के साथ

'shakil' hijr ke zinon pe ruk gaiin yaadein
isi maqaam par aa kar Thahar gai shab bhi
ahrman kaa raqs-e-vahshat har gali har moD par
barbariyyat dekh kar hai khud qazaa sahmi hui
maut ke khunkhaar panjon mein sisakti hai hayaat
aaj hai insaaniyat ki har adaa sahmi hui
gard-e-safar ke saath thaa vaabasta intizaar
ab to kahin ghubaar bhi baaqi nahin rahaa
us se bachhDaa to yuun lagaa jaise
koi mujh mein bikhar gayaa saahab
phir koi choT ubhri dil mein kasak si jaagi
yaadon ki aaj shaayad purvaai chal rahi hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTti hai umr
itni aasaani se to baab-e-hunar khultaa nahin
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
ab zindagi se koi bhi shikva nahin mujhe
tu mil gayaa to koi tamanna nahin mujhe