Shayari
havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
yahaan yaar aur bardaar koi nahin kisi kaa
duniyaa ke biich 'taabaan' ham kis se dil lagaavein
یہاں یار اور بردار کوئی نہیں کسی کا
دنیا کے بیچ تاباںؔ ہم کس سے دل لگاویں
यहाँ यार और बरदार कोई नहीं किसी का
दुनिया के बीच 'ताबाँ' हम किस से दिल लगावें

havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
buraa na maaniyo main puchhtaa huun ai zaalim
ki be-kason ke sataae se kuchh bhalaa bhi hai
aataa nahin vo yaar-e-sitamgar to kyaa huaa
koi gham to us kaa dil se hamaare judaa nahin
aaine ko tiri surat se na ho kyuun kar hairat
dar o divaar tujhe dekh ke hairaan hai aaj
imaan o diin se 'taabaan' kuchh kaam nahin hai ham ko
saaqi ho aur mai ho duniyaa ho aur ham hon
le meri khabar chashm mire yaar ki kyun-kar
bimaar ayaadat kare bimaar ki kyun-kar
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
ek siitaa ki rifaaqat hai to sab kuchh paas hai
zindagi kahte hain jis ko raam kaa ban-baas hai
gali kaa aam saa chehra bhi pyaaraa hone lagtaa hai
mohabbat mein to zarra bhi sitaaraa hone lagtaa hai
na milne par bhi use 'aish' pyaar kartaa huun
yuun unchaa kar diyaa meaar-e-zindagi main ne