Shayari
yakh-basta ho chuki hain umidon ki bastiyaan
in mein tire badan ki haraarat kahaan se laaein
T
Tabish Hamdoon Usmanitishna-labi rahin-e-mai-e-talkh hai to kyaa
shirini-e-hayaat ki lazzat kahaan se laaein
تشنہ لبی رہین مے تلخ ہے تو کیا
شیرینیٔ حیات کی لذت کہاں سے لائیں
तिश्ना-लबी रहीन-ए-मय-ए-तल्ख़ है तो क्या
शीरीनी-ए-हयात की लज़्ज़त कहाँ से लाएँ
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh