Shayari
taasir nahin rahti alfaaz ki bandish mein
main sach jo nahin kahtaa lahje kaa asar jaataa
rahtaa hai zehn o dil mein jo ehsaas ki tarah
us kaa koi pataa bhi zaruri nahin ki ho
رہتا ہے ذہن و دل میں جو احساس کی طرح
اس کا کوئی پتا بھی ضروری نہیں کہ ہو
रहता है ज़ेहन ओ दिल में जो एहसास की तरह
उस का कोई पता भी ज़रूरी नहीं कि हो

taasir nahin rahti alfaaz ki bandish mein
main sach jo nahin kahtaa lahje kaa asar jaataa
tum hamaare khuun ki qimat na puchho
is mein apne zarf kaa arsa rakhaa hai
shahr ki is bhiiD mein chal to rahaa huun
zehn mein par gaanv kaa naqsha rakhaa hai
un baaton par mat jaanaa jo 'aam huiin
dekho kitni sachchaai hai aankhon mein
jo tire intizaar mein guzre
bas vahi intizaar ke din the
barson pahle jis dariyaa mein utraa thaa
ab tak us ki gahraai hai aankhon mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki aazurdagi bajaa lekin
vo bhi mahrum-e-yak-nigaah rahe
na nikli hasrat-e-dil ek bhi hazaar afsos
adam se aae the kyaa kyaa ham aarzu karte
shaaeri to vaardaat-e-qalb ki rudaad hai
qaafiya-paimaai ko main shaaeri kaise kahun
mil hi jaaegaa kabhi dil ko yaqin rahtaa hai
vo isi shahr ki galiyon mein kahin rahtaa hai