Shayari
dil ko ro baiThe ki dil le ke vo ghar baiTh rahe
ham idhar baiTh rahe aur vo udhar baiTh rahe
T
Tasveer Dehlvidil us chashm ko vo dil-e-zaar ko
ki dekhe hai bimaar bimaar ko
دل اس چشم کو وہ دل زار کو
کہ دیکھے ہے بیمار بیمار کو
दिल उस चश्म को वो दिल-ए-ज़ार को
कि देखे है बीमार बीमार को
dil ko ro baiThe ki dil le ke vo ghar baiTh rahe
ham idhar baiTh rahe aur vo udhar baiTh rahe
aisaa tire firaaq mein bimaar ho gayaa
main chaaraagar ki jaan ko aazaar ho gayaa
tamannaa jo na rakhtaa ho jhukaae vo nazar kis se
use shaadi o gham kis kaa use suud o zarar kis se
vo kaun si jafaa hai ki jo tum ne ki nahin
vo kaun saa sitam hai jo main ne sahaa nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai