Shayari
vo ta'alluq bhi thaa kitnaa maasum
ham ne paidaa jo khataaon se kiyaa
T
Tilok Chand Kausarek jumbish si sitaaron mein hui
jab tiraa zikr fazaaon se kiyaa
ایک جنبش سی ستاروں میں ہوئی
جب ترا ذکر فضاؤں سے کیا
एक जुम्बिश सी सितारों में हुई
जब तिरा ज़िक्र फ़ज़ाओं से किया
jugnu bhi ghar se niklein sitaare bhi aaein saath
miTTi ke ik diye pe musibat kaa vaqt hai
na chaand kaa na sitaaron na aaftaab kaa hai
savaal ab ke miri jaan tire javaab kaa hai
kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diyaa
kisi shaah-zaadi ke ishq ne miraa dil sitaaron se bhar diyaa
gham ke taarik ufuq par 'aabid'
kuchh sitaare sar-e-mizhgaan guzre
kab khulegaa ki falak paar se aage kyaa hai
kis ko maalum ki divaar se aage kyaa hai
itnaa nuur kahaan se laaun taariki ke is jangal mein
do jugnu hi paas the apne jin ko sitaara kar rakkhaa hai