Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
din nahin raat nahin subh nahin shaam nahin
rah gai ek nahin haan kaa kahin naam nahin
دن نہیں رات نہیں صبح نہیں شام نہیں
رہ گئی ایک نہیں ہاں کا کہیں نام نہیں
दिन नहीं रात नहीं सुब्ह नहीं शाम नहीं
रह गई एक नहीं हाँ का कहीं नाम नहीं

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
vo rang kaa hujum saa vo khushbuon ki bhiiD si
vo lafz lafz se javaan vo harf harf se hasin
niind ban kar miri aankhon se mire khuun mein utar
rat-jagaa khatm ho aur raat mukammal ho jaae
na puchhiye ki shab-e-hijr ham pe kyaa guzri
tamaam raat jale sham-e-anjuman ki tarah