Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
gar kuchh bhi khabar hoti anjaam-e-gulistaan ki
ham apne nasheman ko khud aag lagaa dete
گر کچھ بھی خبر ہوتی انجام گلستاں کی
ہم اپنے نشیمن کو خود آگ لگا دیتے
गर कुछ भी ख़बर होती अंजाम-ए-गुलिस्ताँ की
हम अपने नशेमन को ख़ुद आग लगा देते

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
be-ilm shaairon kaa gila kyaa hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaan pasand