Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
jab bhi ghairon ki inaayat dekhi
ham ko apnon ke sitam yaad aae
جب بھی غیروں کی عنایت دیکھی
ہم کو اپنوں کے ستم یاد آئے
जब भी ग़ैरों की इनायत देखी
हम को अपनों के सितम याद आए

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas