Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
jiine ki aarzu mein jo marte hain saari umr
shaayad hayaat naam isi marhale kaa hai
جینے کی آرزو میں جو مرتے ہیں ساری عمر
شاید حیات نام اسی مرحلے کا ہے
जीने की आरज़ू में जो मरते हैं सारी उम्र
शायद हयात नाम इसी मरहले का है

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
jis ko tum kahte ho khush-bakht sadaa hai mazlum
jiinaa har daur mein aurat kaa khataa hai logo
gham diye hain hayaat ne ham ko
gham ne ham se hayaat paai hai
dushvaari-e-hayaat ko dushvaar-tar banaa
jis kaa javaab ban na paDe vo savaal de