Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
phir yuun huaa ki sabr ki ungli pakaD ke ham
itnaa chale ki raaste hairaan rah gae
پھر یوں ہوا کہ صبر کی انگلی پکڑ کے ہم
اتنا چلے کہ راستے حیران رہ گئے
फिर यूँ हुआ कि सब्र की उँगली पकड़ के हम
इतना चले कि रास्ते हैरान रह गए

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khvaab ki taabir bataane vaalaa