Shayari
zer-e-paa ab na zamin hai na falak hai sar par
sail-e-takhliq bhi girdaab kaa manzar niklaa
har ek lamha kiyaa qarz zindagi kaa adaa
kuchh apnaa haq bhi thaa ham par vahi adaa na huaa
ہر ایک لمحہ کیا قرض زندگی کا ادا
کچھ اپنا حق بھی تھا ہم پر وہی ادا نہ ہوا
हर एक लम्हा किया क़र्ज़ ज़िंदगी का अदा
कुछ अपना हक़ भी था हम पर वही अदा न हुआ

zer-e-paa ab na zamin hai na falak hai sar par
sail-e-takhliq bhi girdaab kaa manzar niklaa
harf-e-inkaar hai kyuun naar-e-jahannam kaa halif
sirf iqraar pe kyuun baab-e-iram khultaa hai
maangne vaalon ko kyaa izzat o rusvaai se
dene vaalon ki amiri kaa bharam khultaa hai
jo sunnaa chaaho to bol uTTheinge andhere bhi
na sunnaa chaaho to dil ki sadaa sunaai na de
hazaaron saal safar kar ke phir vahin pahunche
bahut zamaana huaa thaa hamein zamin se chale
bichhDe hue khvaab aa ke pakaD lete hain daaman
har raasta parchhaaiyon ne rok liyaa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai