Shayari
bahut se gham chhupe honge hansi mein
zaraa in hansne vaalon ko TaTolo
saliqa bolne kaa ho to bolo
nahin to chup bhali hai lab na kholo
سلیقہ بولنے کا ہو تو بولو
نہیں تو چپ بھلی ہے لب نہ کھولو
सलीक़ा बोलने का हो तो बोलो
नहीं तो चुप भली है लब न खोलो

bahut se gham chhupe honge hansi mein
zaraa in hansne vaalon ko TaTolo
dil mein jo mar jaae vo hai armaan
jo nikle armaan nahin hai
vaqaar' ai kaash meri umr mein shaamil na ki jaae
vo muddat haan vahi muddat jo guzri un ki furqat mein
kahaan milegi bhalaa is sitamgari ki misaal
taras bhi khaataa hai mujh par tabaah kar ke mujhe
hamaari zindagi kahne ki had tak zindagi hai bas
ye shiraaza bhi dekhaa jaae to barham hai barson se
gharib ko havas-e-zindagi nahin hoti
bas itnaa hai ki vo izzat se marnaa chaahtaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
koi hangaama-e-hayaat nahin
raat khaamosh hai sahar khaamosh
nazar jhuk rahi hai khamoshi hai lab par
hayaa hai adaa hai ki an-ban hai kyaa hai
ek muddat se khamoshi kaa hai pahra har-su
jaane kis or gae shor machaane vaale
ye jo chupke se aae baiThe hain
laakh fitne uThaae baiThe hain
main khushbuon ke zikr pe khaamosh hi rahaa
haalaanki ek phuul mire haafize mein thaa