Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
un se kah do mujhe khaamosh hi rahne de 'vasim'
lab pe aaegi to har baat giraan guzregi
ان سے کہہ دو مجھے خاموش ہی رہنے دے وسیمؔ
لب پہ آئے گی تو ہر بات گراں گزرے گی
उन से कह दो मुझे ख़ामोश ही रहने दे 'वसीम'
लब पे आएगी तो हर बात गिराँ गुज़रेगी

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
ghalat baaton ko khaamoshi se sunnaa haami bhar lenaa
bahut hain faaede is mein magar achchhaa nahin lagtaa
us dariche mein bhi ab koi nahin aur ham bhi
sar jhukaae hue chup-chaap guzar jaate hain
aankhon mein nami si hai chup chup se vo baiThe hain
naazuk si nigaahon mein naazuk saa fasaana hai
kis ki sadaa fazaaon mein gunji hai chaar-su
kis ne mujhe pukaaraa hai bachpan ke naam se