Shayari
ye alag baat ki vo dil se kisi aur kaa thaa
baat to us ne hamaari bhi ba-zaahir rakkhi
kaasa-e-dard liye kab se khaDe sochte hain
dast-e-imkaan se kyaa chiiz na jaane nikle
کاسۂ درد لیے کب سے کھڑے سوچتے ہیں
دست امکان سے کیا چیز نہ جانے نکلے
कास-ए-दर्द लिए कब से खड़े सोचते हैं
दस्त-ए-इम्कान से क्या चीज़ न जाने निकले

ye alag baat ki vo dil se kisi aur kaa thaa
baat to us ne hamaari bhi ba-zaahir rakkhi
bajaa hai zindagi se ham bahut rahe naaraaz
magar bataao khafaa tum se bhi kabhu hue hain
kisi ke raaste ki khaak mein paDe hain 'zafar'
mataa-e-umr yahi aajizi nikalti hai
naa-khudaa chhoD gae biich bhanvar mein to 'zafar'
ek tinke ke sahaare ne kahaa bismillaah
sab baDe zoam se aae the nae surat-gar
sab ke daaman se vahi khvaab puraane nikle
ye ahd kyaa hai ki sab par giraan guzartaa hai
ye kyaa tilism hai kyaa imtihaan guzartaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
saDak pe baiTh gae dekhte hue duniyaa
aur aise tark hui ek khud-kushi ham se
ek aansu se kami aa jaaegi
ghaaliban dariyaaon ke iqbaal mein
tanhaai se bachaav ki surat nahin karun
mar jaaun kyaa kisi se mohabbat nahin karun