Shayari
aah ye mahki hui shaamein ye logon ke hujum
dil ko kuchh biiti hui tanhaaiyaan yaad aa gaiin
kitnaa dilkash hai tiri yaad kaa paalaa huaa ashk
sina-e-khaak pe mahtaab giraa ho jaise
کتنا دل کش ہے تری یاد کا پالا ہوا اشک
سینۂ خاک پہ مہتاب گرا ہو جیسے
कितना दिलकश है तिरी याद का पाला हुआ अश्क
सीना-ए-ख़ाक पे महताब गिरा हो जैसे

aah ye mahki hui shaamein ye logon ke hujum
dil ko kuchh biiti hui tanhaaiyaan yaad aa gaiin
hamein khabar hai ki ham hain charaagh-e-aakhir-e-shab
hamaare baa'd andheraa nahin ujaalaa hai
sirat na ho to aariz-o-rukhsaar sab ghalat
khushbu uDi to phuul faqat rang rah gayaa
koi dastak koi aahaT na shanaasaa aavaaz
khaak uDti hai dar-e-dil pe bayaabaan ki tarah
farz barson ki ibaadat kaa adaa ho jaise
but ko yuun puuj rahe hain ki khudaa ho jaise
kul kaaenaat fikr se aazaad ho gai
insaan misaal-e-dast-e-tah-e-sang rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ab to main aur bhi buraa huun ki
ab ziyaada sudhar gayaa huun main
huun vo barbaad ki qismat mein nasheman na qafas
chal diyaa chhoD kar sayyaad tah-e-daam mujhe
ai havaa tu hi use eid-mubaarak kahiyo
aur kahiyo ki koi yaad kiyaa kartaa hai
hamein batlaa na dein aashiq jo hain ru-e-kitaabi par
sabaq hai kyaa koi maashuq jis ko yaad karte hain
har ek lamha tiri yaad mein basar karnaa
hamein bhi aa gayaa ab khud ko mo'tabar karnaa