Shayari
aql ne tark-e-taalluq ko ghanimat jaanaa
dil ko badle hue haalaat pe ronaa aayaa
ye raat yunhi basar ho gai to kyaa hogaa
tire baghair sahar ho gai to kyaa hogaa
یہ رات یونہی بسر ہو گئی تو کیا ہوگا
ترے بغیر سحر ہو گئی تو کیا ہوگا
ये रात यूँही बसर हो गई तो क्या होगा
तिरे बग़ैर सहर हो गई तो क्या होगा

aql ne tark-e-taalluq ko ghanimat jaanaa
dil ko badle hue haalaat pe ronaa aayaa
tiri javaan umangon ko ho gayaa hai kyaa
Dari Dari si mohabbat mujhe pasand nahin
junun ke kaif-o-kam se aagahi tujh ko nahin naaseh
guzarti hai jo divaanon pe divaane samajhte hain
log kahte rahe qarib hai vo
ham ne DhunDaa to duur duur na thaa
saaf kahiye ki pyaar karte hain
ye nigaahon kaa qaul-e-mubham kyaa
yaad aae hain uff gunah kyaa kyaa
haath uThaae hain jab duaa ke liye
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki
baat vo aadhi raat ki raat vo puure chaand ki
chaand bhi ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhi