Shayari
butaan-e-hind mire dil mein hain dar aae hue
khudaa ke ghar ko ghar apnaa hain ye banaae hue
Z
Zebahuaa hai ishq mein kam husn-e-ittifaaq aisaa
ki dil ko yaar to dil yaar ko pasand huaa
ہوا ہے عشق میں کم حسن اتفاق ایسا
کہ دل کو یار تو دل یار کو پسند ہوا
हुआ है इश्क़ में कम हुस्न-ए-इत्तिफ़ाक़ ऐसा
कि दिल को यार तो दिल यार को पसंद हुआ
butaan-e-hind mire dil mein hain dar aae hue
khudaa ke ghar ko ghar apnaa hain ye banaae hue
ye baat baat pe zaahid jo TuuT jaataa hai
dil-e-hazin bhi hamaaraa tiraa vuzu kyaa hai
khudaa ki bhi nahin sunte hain ye but
bhalaa main kyaa huun meri iltijaa kyaa
hans ke phulon ko vo kareinge subuk
rang uDaaeinge ham anaadil kaa
pahle kyaa thaa jo kiyaa karte the taarif miri
ab huaa kyaa jo buraa ho gayaa achchhaa ho kar
aap ko kho ke tum ko DhunDh liyaa
hausla thaa ye mere hi dil kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pyaar ki baatein kijiye saahab
lutf sohbat kaa guftugu se hai
duniyaa mein koi ishq se bad-tar nahin hai chiiz
dil apnaa muft dijiye phir ji se jaaiye
taufiq jin ko maasiyat-e-ishq ki nahin
ai rahmat-e-tamaam gunahgaar vo bhi hain
hamaare aasmaan kaa har sitaara sab pe raushan hai
kisi zakhm-e-mohabbat ko nihaan ham ne nahin rakkhaa