Shayari
mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us kaa
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyaasat ke baghair
dushman-e-jaan hai magar jaan se pyaaraa bhi hai
aisaa is shahr mein ik shakhs hamaaraa bhi hai
دشمن جاں ہے مگر جان سے پیارا بھی ہے
ایسا اس شہر میں اک شخص ہمارا بھی ہے
दुश्मन-ए-जाँ है मगर जान से प्यारा भी है
ऐसा इस शहर में इक शख़्स हमारा भी है

mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us kaa
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyaasat ke baghair
us ko nae safar mein nae ham-safar ke saath
dil khush huaa hai kyon ye ziyaa dekhte hue
koi aasaan hai bhalaa rishte ko qaaem rakhnaa
girti divaar hai ham jis ko sambhaale hue hain
tujh se kahaa thaa khushbuein us ke badan ki laaiyo
meraa ye kaam aaj tak tu ne sabaa nahin kiyaa
zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe
tujh ko jaanaa thaa kidhar aur kidhar aa gayaa hai
daanaaon ne ki daanaai muund liin aankhein
chauraahe par qatl huaa paagal ne dekhaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab se chhoDi hai mohabbat nazar aate hain ye khvaab
khinchtaa hai koi daaman to garebaan koi
lazzat-e-ishq ilaahi miT jaae
dard armaan huaa jaataa hai
vaada jhuTaa kar liyaa chaliye tasalli ho gai
hai zaraa si baat khush karnaa dil-e-naashaad kaa