Shayari
baDi viraani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kyaa
Z
Zyesha Usmaanhar baat dil ki lab pe nahin laanaa laazmi
kuchh guftugu mein bhi adab aadaab chaahiye
ہر بات دل کی لب پہ نہیں لانا لازمی
کچھ گفتگو میں بھی ادب آداب چاہیے
हर बात दिल की लब पे नहीं लाना लाज़मी
कुछ गुफ़्तुगू में भी अदब आदाब चाहिए
baDi viraani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kyaa
bujhne nahin diyaa ise furqat ke baa'd bhi
yaadon se teri dil ko farozaan rakhaa sadaa
log aaeinge bahut chhoD ke jaaeinge bahut
har kisi ko na kaleje se lagaa kar rakhiye
muflisi paanv ki zanjir thi aur
ru-ba-ru aa ke zarurat Thahri
kaisaa ye marhala hai ki ik dusre se ham
kahne ko aashnaa hain magar aashnaa nahin
ai shakhs tujh se tark-e-ta'alluq kaa gham nahin
gham ye hai main ne khud ko tire saath kho diyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
dil ke muaamle mein mujhe dakhl kuchh nahin
is ke mizaaj mein jidhar aae udhar rahe