Shayari
hamaare deputy-commissioner ne chaand dekhaa hai
hamein khabar hai ki vo ghair-zimme-daar nahin

Athar Shah Khan Jaidi
Athar Shah Khan Jaidi
hamaare deputy-commissioner ne chaand dekhaa hai
hamein khabar hai ki vo ghair-zimme-daar nahin
khiDkiyon se nazar us ki haTti nahin
meraa beTaa to baaligh-nazar ho gayaa
vo saadgi mein un ko do saamain samjhaa
bas aaThvin ghazal par munkir-nakir bhaage
laDke ki amaan ye bolin kaam kare us ki juuti
do bhaai bhatta lete hain abbaa khair se Daaku hain
allaah jab bhi detaa hai chhappar phaaD ke detaa hai
is ummid pe saari umr chhappar-tale guzaari hai
ye bhi achchhaa hai ki sahraa mein banaayaa hai makaan
ab kiraae pe yahaan saaya-e-divaar chalaa
vo saas ab kitni martaba martabaan jhaanke
bahu to do din mein khaa gai hai achaar aadhaa
bachchon ko sulaa dein to ham-saaya nahin sotaa
fitrat ke maqaasid ki kartaa hai nigahbaani
main ne phulon ki aarzu ki thi
aankh mein motiyaa utar aayaa!!
biviyaan chaar hain aur phir bhi hasinon se shaghaf
bhaai tu baiTh ke aaraam se ghar-baar chalaa
zarur miTTi kaa tel saaqi pilaa gayaa hai
jo puure saaghar se ho rahaa hai khumaar aadhaa
koi to DhunD ke laae ki muntazim hai kahaan
lifaafa gar nahin detaa na de kiraaya to de