Shayari
har ek rasta-e-paayaab se nikalnaa hai
saraab-e-umr ke har baab se nikalnaa hai

Tahir Adeem
Tahir Adeem
har ek rasta-e-paayaab se nikalnaa hai
saraab-e-umr ke har baab se nikalnaa hai
hain dastaras mein abhi bhi 'taahir' uThaa ke ab is ko pi bhi Daalo
mushaahidon mein hi ho gai gar ye ThanDi chaae to kyaa karoge
faqat tum hi nahin naaraaz mujh se jaan-e-jaanaan
mire andar kaa insaan tak khafaa hai intihaa hai
mujhe vo chhoD kar jab se gayaa hai intihaa hai
rag-o-pai mein fazaa-e-karbalaa hai intihaa hai
rang kyaa ajab diyaa meri bevafaai ko
us ne yuun kiyaa ki mere khat jalaae uud mein
khirad ke laakh qaasid hain to honge
junun kaa naama-bar koi nahin hai
havaadis bhi vahin ham bhi vahin hain
magar ab chashm-e-tar koi nahin hai
ba-juz mere yahaan meri vafaa kaa
havaala mo'atabar koi nahin hai
use bhi parda-e-tahzib ko giraanaa hai
mujhe bhi paikar-e-naayaab se nikalnaa hai
nahin hai rahnaa use bhi bahaar mein 'taahir'
mujhe bhi mausam-e-shaadaab se nikalnaa hai
aankhon mein hai kaisaa paani band hai kyuun aavaaz
apne dil se puchho jaanaan meri chup kaa raaz