Shayari
qismat ki tirgi ki kahaani na puchhiye
subh-e-vatan bhi shaam-e-gharibaan hai aaj kal

Wasif Dehlvi
Wasif Dehlvi
qismat ki tirgi ki kahaani na puchhiye
subh-e-vatan bhi shaam-e-gharibaan hai aaj kal
bujhte hue charaagh farozaan kareinge ham
tum aaoge to jashn-e-charaaghaan kareinge ham
didaar se pahle hi kyaa haal huaa dil kaa
kyaa hogaa jo ulTeinge vo rukh se naqaab aakhir
kitni ghaTaaein aaiin baras kar guzar gaiin
shola hamaare dil kaa bujhaayaa na jaa sakaa
daaman ke daagh ashk-e-nadaamat ne dho diye
lekin ye dil kaa daagh miTaayaa na jaa sakaa
aaj rukhsat ho gayaa duniyaa se ik bimaar-e-gham
dard aisaa dil mein uTThaa jaan le kar hi gayaa
vafur-e-be-khudi mein rakh diyaa sar un ke qadmon par
vo kahte hi rahe 'vaasif' ye mahfil hai ye mahfil hai
khudaa ke saamne jo sar yaqin ke saath jhuk jaae
kisi taaqat ke aage phir kabhi vo kham nahin hotaa
halki si khalish dil mein nigaahon mein udaasi
shaayad yunhi hoti hai mohabbat ki shuruaat
nasim-e-subh yuun le kar tiraa paighaam aati hai
pari jaise koi haathon mein le kar jaam aati hai
ye tufaan-e-havaadis aur talaatum baad o baaraan ke
mohabbat ke sahaare kashti-e-dil hai ravaan ab tak
bharam us kaa hi ai mansur tu ne rakh liyaa hotaa
kisi kaa raaz ai naadaan sar-e-mahfil nahin kahte